Allahabad University ek sarwajanik central University hai, jo Bharat ke Uttar Pradesh ke Prayagraj me sthit hai, isaki sthapna 23 Sept. 1887 ko sansad ke ek adhiniyam dwara ki gayee thi aur ise rastriya mahatwa ke sansthan ke roop me manyata prapt hai, yah Bharat ke sabse purane aadunik university me se ek hai, bharat ki sabse purani central university hai aur ise "Purwa ka Oxford" bhi kaha jata isaki utpatti muir central college me hue hai jiska nam uttar ke uprajyapal ke nam pe rakha gaya tha, 1876 me paschimi prant me sir William muir jinhone Prayagraj me Central University ka vichar sujhaya jo baad me vartman university me viksit hua. 2005 me isaki Bharat ke sansad dwara isaki sthiti ko fir se sthapit kiya gaya tha.
Science Faculty
Moid Central Collage ki adharsila 9 Dec 1873 ko Bharat ke Governer General Lord Northabrak dwara rakhi gayee thi College ka nam sanyukt prant ke leftinent Governer sir william muir ke naam par rakha gaya tha jo isaki neev rakhane wale pramukh vyakti the. Imarat ka design William Imarson dwara kiya gaya tha.
Prarambh me yah Kolkata University ke tahat karya karta tha aur baad me 23 Setp 1887 ko Allahbad University ki sthapana ki gayee. Jisase yah Kolkata University, Bombey University, Madras University aur Lahor ke Punjab University ke bad aupniveshik Bharat Sthapit 5th University ban gaya.
Comments
Post a Comment